Posts

Showing posts from March, 2008
uljhano may seemat kar reh jayi hai zindagi, kitni shiddat se hum chehre ki lakeeron ko janna kartey thee, aaj jab khud par lakeeron ne apna jamaya hai pehra, toh soch may padh gaye ki matlab kya hai inka..
ulfat na hoti na hoti shikayat zindagi na hoti na hoti shararat shiddat na hoti na hoti mohabbat.. kaise keh paatey na hote tum na hoti..(find me a word)
kuch tamanaoyn ne kuch hastaron ne kabhi deewnagi ne kabhi chahton ne mujhko aisa bandha, na jaan paye kya hota hai woh pehlu jise loog zindagi kaha kartein hain.
dabey dabey se pairon ke nishan aksar yeh ehsaas dila jaatein hain ki zindagi may zaruri nahi ki sahil miley bus kinaron ka saath zarur miley
bandh mutthi may jee letein hai zindagi ki saari khushiyan kuch loog nahi jaan patey ki khula aasma kya hai mil bhi jaata khula aasma, toh kya wakai may zindagi ko naya roop de paatey woh loog... woh phir bhi yahi maantey ki saari duniya ka basera hai yahan .. bus yahi hai aashiyana mera aur khush ho lete....
aksar yeh halat huya kartein hain kuch tum hum may aur kuch hum tum may yeh paya kartein hain yeh kaun si kashish hai jo har baar laati hain dono ko kareeb waqt thehar jaata hai inhi lamhon ke beech
pairon ki halki si aahat maano khul gaya khushiyon ka jahan tumharey aatey hi mehsus huya ki ab aayega jeene ka maza
Har pehlu ka ek aur pehlu hota hai jaan jaatey uss dusare pehlu ko hum toh aapna pehlu hi badal chukey hotey
hum chale thee saath saath, na jaane kab chutha haath unke daaman se jaisi hi muthi kholi, khade thee khali haath, mano na kabhi tha daaman unka aur na kabhi tha saath
uljhanon may yun simat gayi hai zindagi, kuch hosh hi nahi hai kahan le jaa rahi hai zindagi, kuch khabar toh ho maayne iske varna be matlab si reh jaayegi zindagi
aakhon se yun baatein ho rahin hain, shabd ghum hai ,kuch baat zarur hai ismay, jo in faaslon ko mita raha hai.
chahtein badhti jaayengi, socha na tha kabhi aashiki rang laayegi par hawa yun chali jo kar gayi deewana keh na paya kuch bhi parwana