Posts

Showing posts from August, 2008
kai dino se dekha nahi aasma ko muskurate kai dino se dekha nahi ussey aakhon se paani barsaatey.. kai dino se mehsus nahi kiya tumhare narm bahon ka ghera kai dino se fela nahi tumhari chahton ka mela kai dino se huya nahi mera tumhara aamna saama kai dino se badha bhi toh nahi humari baaton ka silsila kyun kuch dino ka fasla ban gaya kai dino ka har pal tab lagta tha barso bhar ab har baras lagta hai pal bhar kuch oth humey chahton ne mara kuch baaton ne aur jo hum bachey the unhey tumhari judai ne mara..
jab bhi socha tumhare baare may labon par haasi aa jaati hai kasur yeh humara toh nahi asar yeh tumhari aankhon/baaton ka hai

ek ehsaas

halki si tumhari hasi jaado kuch aisa karti hai na jaane kitni anchahi anjaani baatein keh deti hai.. Kyun hota hai aisa aksar yeh mere saath hi dhadkane tham jaati hai humari tumhare atey hi... kehna chaho jab bhi apna haal e dil humse, bus muskurakar thaam lena humara haath yeh... aur jo kabhi keh na paao humse haal e dil apna.. bus aankhein apni bandh kar lena paaogey paas apne