Posts

Showing posts from February, 2008

shayari

Nigahein aapki pehchan hain humari, muskurahat aapki shaani hai humari, rakh karo apna khayal kyunki saansein aapki jaan hai humari Hawa kuch kehte hue mujhse yun takrayi , mano bechada hua pyar kahin mil gaya ho raat ki chandni kehti hai mujhe unka pata toh batati ja, kisse punchun rehtein hai kahan itna karam toh karti ja rangon may yun ghul gaya sama chahton ke mausam may is kadar mil gaya sansar dil ki dhadkan keh hiuthi kaun kar gaya is mahol ko rangeen tamanao ke aangan may umeed ki ho kiran aur chalta rahe ashaon ka safar/karwan kb na pal ye thame jo de gaya hume dosti ka yeh pal chup reh kar bhi bahut kuch keh deti hai aankhen kambhakt kya karun reh reh kar bayan har jazbat kar deti hai yeh aakhein aasan gar jo hota kb dil may jagah banai hi na hoti ek baar nafart se dekh hi liya hota pyar ka ehsaas jaga na hua hota Mausiki ka khumar mujh par kuch aisa chadha na pata kab subah se shaam ho gayi Bhul jaon tumhe yeh mumkin nahi yaad rakhun tumhe yeh aasan nahi karun kya e dil bata...