shayari

Nigahein aapki pehchan hain humari,
muskurahat aapki shaani hai humari,
rakh karo apna khayal kyunki saansein aapki jaan hai humari

Hawa kuch kehte hue mujhse yun takrayi ,
mano bechada hua pyar kahin mil gaya ho

raat ki chandni kehti hai mujhe unka pata toh batati ja,
kisse punchun rehtein hai kahan itna karam toh karti ja

rangon may yun ghul gaya sama
chahton ke mausam may is kadar mil gaya sansar
dil ki dhadkan keh hiuthi kaun kar gaya is mahol ko rangeen

tamanao ke aangan may umeed ki ho kiran aur chalta rahe ashaon ka safar/karwan
kb na pal ye thame jo de gaya hume dosti ka yeh pal

chup reh kar bhi bahut kuch keh deti hai aankhen
kambhakt kya karun reh reh kar bayan har jazbat kar deti hai yeh aakhein

aasan gar jo hota kb dil may jagah banai hi na hoti
ek baar nafart se dekh hi liya hota
pyar ka ehsaas jaga na hua hota

Mausiki ka khumar mujh par kuch aisa chadha
na pata kab subah se shaam ho gayi

Bhul jaon tumhe yeh mumkin nahi
yaad rakhun tumhe yeh aasan nahi
karun kya e dil bata
kissi air ki yeh soche yeh manzur bhi nahi

Wo tumhey yaad kare jisne bhulaya ho kb
Maine tumko na bhulaya na kb yaad kiya

Comments

Popular posts from this blog