Posts

Showing posts from April, 2008
khushbuon ka daman, khushiyan batorney laga tha kuch ehsaas in dayron may aakar rukh gaye, kuch faslein taye kar ke nikal gaye kya kehtein un lamhon se jo inhey apney daman may samety huye tha ghabra kar rukh gaye , kahin daman bikhar na jaey aur khushiyon ka woh savera haathon se na nikal jaaye ghabrahat may yeh na jaan paye ki humara toh sirf khusbho se nata tha na khushiyon ka saath mila na kabhi kissi ka daman mila (words are scattered pls help them bind)
keh detein ki mohabat hai unmse, kitna aasa yeh safar hota na karna hota intezaar unka , tasveer se unki zindagi kat gayi hoti...
chupana chahton ko gar itna aasan hota na hoti kahaniyan unki jinka sabab sirf izhare mohabat hota
aakhon kji nami kuch dekhne hi nahi deti kaise pata chale haal e dil tumhara kya hai
hasraton ka khulla aasman chahtein batorney laga tha achanak dastak huyi, aaya koi jo kar gaya chahteon ki hasraton ko puri
bediyon se bandhi zindagi ka dard uthathey -2 bhool gaye khule aasma may udhna ka safar hota kya hai hota kya hai unn hatheylion par hona jinka sabab hota hai sirf mohabat karna
samajh na sakey the apne aap se shikayat kyun ho rahi hai samajh gaye jab aapka dard chehre par dekh liya
kitab ke har panne par likha har woh akshar, mujhey seekha gaya ki khushyan kya hai par agar seekha deti woh kitaab ki zindagi ka asli maksad kya hai toh kuch pal ke liye thodha aur khush ho lete..
zindagi ke falsafon may na jaane kya padh gaye, ghum aur khushi ke darmiya faslein kum ho gaye, aksar yeh soch may padh jata hai dil, kya itna aasan hai dono pehluyon may beetana zindagi ka har din...
chupp rehkar bol dena, naa chahkar bhi keh dena baaton -2 may dil ki tamanayon ka izhar kar dena aankhon -2 may pyar ka paigam de dena.. kuch jana pehchana sa toh hai.. par shayad yeh ehsaas unke liye hai .. jo aksar mohabat ki baatein kiya kartein hain..
khushiyon ko aksar dur hi paaya humney, jab chaha usske paas aana, yun ho gayi zindagi se woh gayab maano band muthi may thi reth aur khultey hi khali ho gayi...
Socha hai aksar zindagi may kyun na paa paye woh zindagi jo hamesha se rubar-roo kara deti humey apne aap se jawab yehi aata hai mere saamneyhamesha..kyun na samajh paaye uss aks ko jo aksar tumhare aas paas hi rehta hai..
kuch dair chaley, kuch fasleon par kadam ruk gaye chahteoh kay har pehloon may yeh aksar mukaam aata hai.. thodha ruk kar hasna aur kabhi faslon ko mita kar ronna padhta hai..