baarish ki boondein cham se jo padhi zameen par,
jeevan naya mil gaya ho jaise kisiko..
tapti zameen ek tak aakhein beechaye baithi ,
aasma ki ore dekhne lagi thi,
chah rahi thi kuch boonde gire uspar,
ho jaaye phir se meharbaan koi uss par...
Thandi hawa ka jhonka le hi aaya paigam baarish ka,
aur kuch hi palon may boondon ne bana diya sama khushi ka,
aahista-2 padthi huyi baarish ki yeh boondein,
kuch kehna toh chahtin hongi,
par kya kabhi inki aawaz kisi ne sunni bhi hogi???
khidkiyon ka woh baar baar khulna,
baar baar bandh hona..chidhiyon ka woh chechana,
bheeg kar thodha sa seham jana..
miti ki khusbhoo se poora mausam badal jana,
mann chahey thodhi si chai aur
kuch garma garam pakodo ka kitchen se aana..
par haay yeh baarish....
mauka toh de bahar jaane ka , kuch saaman laane ka,
tabhi toh maja aayega khidki ke paas baith,
inn baarish ki boondon, hawa ke jhokon aur pakodon ka maja uthana..
Comments