guzara lamha tham gaya hota, waqt ke rehte jo chaha mil gaya hota na sochtey zindagi bharr hum ab saath unka garr mil gaya hota zindagi ka har lamha jee liya hota aaj bhi jab shakon se paton ko girtey dekhtein hain yehi mehsus kiya kartein hain woh lamhey bhi kya lamhey the jinko hum saath saath bita diya kartey the aaj bhi jab yaad aatey hain wooh pal toh aankhon may halki si muskurat ghir aati hai loog kehtein hain yeh muskurahat nahi kyunki aakhein zindagi ki nami bayan kar jaati hai kabhi janane nahi diya unko haal e dil apna aksar ek kone may dekha kiya kartey the aaj bhi hum dekhtein hain unko par dekhney ka andaz badal liya hai humney masumiyat ke wooh nishan ap chehre par tumhare dikhtein nahi kya itne saalon main kabhi tum un lamho ko yaad karke hansey nahi hansi jaise kahin dab gayi hai lekin lakeeron ne saath abhi chhoda nahi hai kabhi un lamho ko yaad kar lena jo aksar hum saath bitaya kartey the shayad un yaadon se daman tuhara phir bharr jaaye aur inhi yaadon se tum baha...
Posts
Showing posts from September, 2008