guzara lamha tham gaya hota,
waqt ke rehte jo chaha mil gaya hota
na sochtey zindagi bharr hum ab
saath unka garr mil gaya hota
zindagi ka har lamha jee liya hota

aaj bhi jab shakon se paton ko girtey dekhtein hain
yehi mehsus kiya kartein hain
woh lamhey bhi kya lamhey the
jinko hum saath saath bita diya kartey the
aaj bhi jab yaad aatey hain wooh pal
toh aankhon may halki si muskurat ghir aati hai
loog kehtein hain yeh muskurahat nahi
kyunki aakhein zindagi ki nami bayan kar jaati hai

kabhi janane nahi diya unko haal e dil apna
aksar ek kone may dekha kiya kartey the
aaj bhi hum dekhtein hain unko
par dekhney ka andaz badal liya hai humney

masumiyat ke wooh nishan ap chehre par
tumhare dikhtein nahi
kya itne saalon main kabhi tum
un lamho ko yaad karke hansey nahi
hansi jaise kahin dab gayi hai
lekin lakeeron ne saath abhi chhoda nahi hai

kabhi un lamho ko yaad kar lena
jo aksar hum saath bitaya kartey the
shayad un yaadon se daman tuhara phir bharr jaaye
aur inhi yaadon se tum bahar nikal kar
ek baar phir humey awaz do
aur hum palat kar ke bhi de
hum toh yahin khade the bus ek nazar palat kar dekha toh hota

Comments

Popular posts from this blog