Posts

Showing posts from October, 2008
Kyun har baar tumhey dekhkar yeh ehsaas huya karta hai un palon ko yaad karte karte har lamha tum sa lagta hai Par jab bhi chehra tumhara saamney aaya harr baaar yehi hai paya ki tumney kabhi nahi chaha kissi aur ko chaha hai toh sirf apne aap ko
ek ajab si ladki dekhi haatho may lekar dil chalti thi pata na tha dena kisko hai jo milta ussey de deti aksar hota uske saath yehi poocha maine jo naam uska hans ka boli dil hoon uska, jo har pal muskurati hai par naam nahi pata hai uska jo har dum dil baanti hai
pehlu may har shaam ka nazara kuch haseen hota hai aankhn ki chamak ka ujala kuch aur hota hai har umar ke pehlu may waqt ka ehsaas naya hota hai chalo unn sabhi lamho ko samet kar ek naya daur shuru kare jahan na ho koi deewar mazhab ki, aur naa ho koi aashiyan bina pyaar ka