jaago Indai-2
phir wahi shaam hogi,phir wahi subah hogi,naa hongey woh purane chehre,jinko hamesha hum apni aankhon ke saamney dekha kartein the,phir wahi loog hongey,phir wahi siyasat hogi,par iss baar kuch naye chehre phir kuch naye haadse,aur unka sirf itna keh dena "hum sab aapke saath hain"rukh phir kisi dusri taraf karna ,naye muddo par behas karna,aur agar nayi musibat aaye toh bus itna kehna" saara desh aapke saath hai"par kya koi iss sawal ka jawab dega..???????????????????kitni din aap humare saath hai?kya aap honge humare saath ,jab bache bhookh se raston par beelakh rahein honge?kya unhey roti aap denge?jab unka haath koi nahi thamega tab kya aap honge?kya aap unhey naukri denge?jab baarish may ghar ki chhat tapkegi ya utsavo par ghar may andhera hoga?toh kya aap honge wahan humari zindagi ko ek nayi roshni dene ke liye?haan .......jawab tab aayega jab hoga....CHUNAV ka din..wooh saare loog jinko humney 5-10 saalon may shayad kb dekha hogasirf akhbaron ki surkhiyon may apni jagah banate aur apne hi gharwalo se wah wahi batortey huye.....hai koi jawab..hai toh POST Comment
Comments