aasman ko dekha toh usko tanha paaya nazaron ko jhukakar dekha toh khud ko tanha paaya ehsaas yeh ab huya jab zindagi ka safar tanhai may guzar gaya naa kartey itna intezar kisika aur na tanhai ka yeh aalam banta
Posts
Showing posts from April, 2009
suntey hain hum zarur har baat ko aapki, na jaaney kyun lagta hai aapko ki mehsus hota nahi hai, har aahat ko pehchantey hain aapki, na jaaney kyun yeh ehsaas aapko hota nahi hai. kyun simat jaayun inn baaton may, jinko kabhi hum bandish kaha kartein the, lagne laga hai aapko yeh bandish nahi pyaar , par humey yeh pyaar sa lagta nahi hai
aksar dekha hai tasveer ko badltey huye, dekha na kabhi apni takdeerko badltey huye har lamha ek sa hota nahi hai mantey hain hum par haseen mauka miltey dekha nahi hai humney sochtey toh hain hum bhi magar har soch ko sachhaiye may badaltey kabhi dekha nahi hai phir kyun aksar yeh soch kar rukh jaatey hai hain hum ki kabhi na kabhi taqdeer humsey milegi kissi aur ko miltey huye