Posts

Kuch hawa

अल्फ़ाज़ों की कुछ मतलबी सी दुनिया हो चली है... ये कैसी हवा चली है जो दिल से धड़कन ले चली है... समझ न सका शायद ना कोई इस बयार को... हमसे हमको ही ये उड़ा ले चली है...

Soch

Gehrai toh samadar ki bhi hoti hai Zara gaur se kabhie meri aankhone ko dekha hota Waqt guzare zamana ho gaya Kabhi woh waqt bankar dekha toh hota Thehar jata woh guzarta lamha Kabhie uss lamhe ko jeene ka socha toh hota.. Yun muskurana dard main humari aadat bann gayi Kabhie humari aadat bankar dekha toh hota Tamaam sharton pe aksar dekha hai khud ko khara utarne ki koshish karna Kabhie khud shart bankar dekha toh hota Jee lete hum zindagi saath tumhare Kabhie mere dil ka aaina dekha toh hota Har dhadkan main chehra tumhara hi hai Ek baar mere dil ko dhadkan bankar dekha toh hota Hone ko toh bahut kuch ho jata shayad Iss shayad ko apne tazarvur main koi laya toh hota Uljhi ulfaton ke darmiyaan ek anchahi uljhan si hai Kabhie uss uljhan ko suljhaya toh hota.. By yours truly... Suggestions welcome Compliments toh definitely welcome
itne hairan hum kb na the jab logo se ghire rehtey the.. hairan tab honey lagey jab sanate ne apna kabza jama liya
kuch jhuki si palkein,Deewana bana gayin.. na chahte huye bhi apna bana gayin... Kuch nahi keh ke bhi .. Baut kuch keh gayi.... In palkon ki bhasha samajhna kyun hai itna mushkil Koi yeh kaise bataye Kya yeh hai mumkin.....
Khusiyon ki bagiya may tum saath na chale, na chale hi sahi. Chalte ho kyun akele Saath humara hi sahi.. Na chahein tumhey yeh humey manzur nahi, na dekhein tumhey yeh bhi kubul nahi.. Koi rishta na bane bahle hi sahi.. Dard ka rishta jo baney kya woh bhi nahi??? Aitraaz kyun hai tumhey kissi bhi rishtey se? Kya koi dard saath le kar ho chal rahe.. Dost samjh kar hi baat lo kya yeh bhi nahi??? na chahkar humey chaho yeh gawara nahi.. Chup-2 kar humey Dekein yeh sahi bhi nahi na chahtey huy humey chahna yeh bhi manzur nahi
ek chehre ne meri taraf nazar utha kar dekha, aakhon may sharat ka ehsas jhalak rahah tha chehra bhi suraj ki kirano sa chamk raha tha lekin yeh kya uske haathon may tha ek sahara jo usse meri aur le aa raha tha.. Poochne par pata chala . yeh koi aur nahi meri apni trasveer hai jo kuch dhundhari yaadon se bahar aa rahi thi aur kuch keh rahi thi.. apne dayre se nikal kar jo main poocha kya hota hai yeh ehsaas toh labon par aa gayi dil ki baat kuch pal saath tumhara mil jo jata toh yeh safar humara bhi haseen ho jata

few more

Gumnamiyon main aksar khud ko dhoondha kartey the , aur jab khud ko pehchana toh yeh dekh dang reh gaye ki apni parchayi main khud ko dhoondh rahe the... Tujhse mili anjaani bankar, kuch baaein huyi dost bankar,miltey miltey yeh ehsaas hua dost se ho kuch zyada badhkar,ab ho mere saath zindagi bankar,rehna yun,saath dena mera mere humsafar bankar,cut jaayegi yeh zindagi ek haseen kwaab banmar har pal yeh ehsaas rahega mere saath tumhari saans bankar