ek chehre ne meri taraf nazar utha kar dekha,

aakhon may sharat ka ehsas jhalak rahah tha

chehra bhi suraj ki kirano sa chamk raha tha

lekin yeh kya uske haathon may tha ek sahara

jo usse meri aur le aa raha tha..


Poochne par pata chala .

yeh koi aur nahi meri apni trasveer hai

jo kuch dhundhari yaadon se bahar aa rahi thi

aur kuch keh rahi thi..


apne dayre se nikal kar jo main poocha

kya hota hai yeh ehsaas

toh labon par aa gayi dil ki baat

kuch pal saath tumhara mil jo jata

toh yeh safar humara bhi haseen ho jata

Comments

Popular posts from this blog