rehguzar hi sahi rahon se guzar hi jaatey .. humey kya pata tha woh humse iss tarah milke bichad bhi jaaatey.....
Posts
Showing posts from 2009
aksar
kuch pal woh haseen the..jab humse tum mile the..inhi palon ko samet kar aaj bhi jee rahey hain..issi aaas main ki phir se woh pal ho aur phir se wahi tum ho... Aaj haathon ki lakeeron ko dekhkar yeh ehsaas honey laga hai, kuch chand khushiyn ke kiye kya yeh lakeerein hi kaafi hain... haathon ki in lakeeron may aksar suna hai zindagi likhi hoti hai..phir aksar loog kyun inhey mitaney ki koshish kiya kartein hain??? kaun kahta hai..aasma mein ched nahi hota....koi pattathar toh tabiyat se uchchaalo yaaron....
suntey hain hum zarur har baat ko aapki, na jaaney kyun lagta hai aapko ki mehsus hota nahi hai, har aahat ko pehchantey hain aapki, na jaaney kyun yeh ehsaas aapko hota nahi hai. kyun simat jaayun inn baaton may, jinko kabhi hum bandish kaha kartein the, lagne laga hai aapko yeh bandish nahi pyaar , par humey yeh pyaar sa lagta nahi hai
aksar dekha hai tasveer ko badltey huye, dekha na kabhi apni takdeerko badltey huye har lamha ek sa hota nahi hai mantey hain hum par haseen mauka miltey dekha nahi hai humney sochtey toh hain hum bhi magar har soch ko sachhaiye may badaltey kabhi dekha nahi hai phir kyun aksar yeh soch kar rukh jaatey hai hain hum ki kabhi na kabhi taqdeer humsey milegi kissi aur ko miltey huye
unn kirano ko dekha hai roshni detey huye, jo aksar aasma main ujala karti hai, hota hoga kya jab andhera hota hai, kaun karta hoga waha ujala, jo sabko roshni deta hai... aksar dekha hai suraj ko ugatey aur dhoobtey huye, kahan se laata hai woh roshni humey tazagi dene ke liye, Dekha hai hazaron baar roshni ko apna rang badaltey huye, dekha nahi kabhi suraj ko apna muh humse modhtey huye
Hamesha yeh socha aur samjha tha humney ki faaslon se dilon ka mel nahi toothta maana tha yeh bhi humney ki harr insaan ko ek jaisa samjha nahi kartey phir bhi galti kar baithey hain hum ab faaslon ko mitaney se kya fayada??? Kabhi kisika bura na sochna samjhaya tha aur maana tha humney par humare ek hi kadam ne itni badi mushkil kar di ki ab naa acha sochtey baney na bura...
chalkar jo ruki thi may, naa jaane kiss soch may padhi thi main, kuch dur jaakar paya ab tak akeli chal rahi thi main... hota tha yakeen khud par barso pehle naa jaane kahan kho gaya woh ehsaas abhi abhi chalna hi chaha tha hamesh maine kyun yeh kadam ruk gaye abhi abhi rokha tha jaane kitno ne mujhey chalte -2 na samajh payi ishara unka, koshishey hazar ki sabne samjah aaya unka irada abhi abhi Ab modh aisa aaya hai, naa jaantey huye bhi chal rahi hoon, thak gayi phir bhi chal rahi hoon kyunki manzil par pahunchi hoon abhi abhi.. ehsaas kaisa hota hai manzil paaney ka yeh samjah aaya toh thakaan utar gayi abhi abhi
yeh daur kab shuru huya?
Cheekhon,aawazon ka yeh daur jo shuru huya, na jaane kabh thamega yeh jo shor shuru huya, rotey, bilaktein hai hum sab magar, darr ka yeh daur kab shuru huya, aahat se pehchantein hain apno ka aana, aatankiyon ka apno sa aana shuru kab huya? harr mazhab ko apna kehna seekha shuru se humne, achanak se aatank ka yeh naya mazhab shuru kab huya? pyaar ka paigam lekar humesha se hum ghumey, par yeh dushmani ka aalam shuru kab huya? chhaya tha jahan aman ka aalamwaha darindagi ka khel shuru kab huya? chahtey toh sab hain shaanti ka paigaam dena, par matbhedo ka yeh silsila khatam hi kab huya???...
jaago Indai-2
phir wahi shaam hogi,phir wahi subah hogi,naa hongey woh purane chehre,jinko hamesha hum apni aankhon ke saamney dekha kartein the,phir wahi loog hongey,phir wahi siyasat hogi,par iss baar kuch naye chehre phir kuch naye haadse,aur unka sirf itna keh dena "hum sab aapke saath hain"rukh phir kisi dusri taraf karna ,naye muddo par behas karna,aur agar nayi musibat aaye toh bus itna kehna" saara desh aapke saath hai"par kya koi iss sawal ka jawab dega..???????????????????kitni din aap humare saath hai?kya aap honge humare saath ,jab bache bhookh se raston par beelakh rahein honge?kya unhey roti aap denge?jab unka haath koi nahi thamega tab kya aap honge?kya aap unhey naukri denge?jab baarish may ghar ki chhat tapkegi ya utsavo par ghar may andhera hoga?toh kya aap honge wahan humari zindagi ko ek nayi roshni dene ke liye?haan .......jawab tab aayega jab hoga....CHUNAV ka din..wooh saare loog jinko humney 5-10 saalon may shayad kb dekha hogasirf akhbaron ki surkhiyon ma...
jaago India
naa jane kiss aandhi ne apna rukh iss ore kiya,na jaane kitne mare aur kitno ne apni jaan gawayi,kya farak padha un siyasat ke mahir sartajo par,jo aksar apni kursiyon ko inn halaton se garam kiya kartein hain,aaram ki zindagi jiya karetin hain,Yeh jaantein hain ki inn jawano ki wajah se hum sootey hain aram ki neend,par kya farak padhta hai inn desh ke netaon ko...subah bus itna keh dena" humey khaid hain unke jaane ka" aur shaam hote hi jaam takratein hain.hastein huye yeh khed jatatein hain...aur hum kuch kahein to kehtein hain " bhawnao ko samjho shabdo main kya rakha hai"
Haal E dil
* har lamha intezar unka saha na gaya, jb bhi unko bulaya , unka aana na huya, jab kuch kehna chaha kaha bhi na gaya, ab iska malal kyun rakhta hai aye dost jab mila tha mauka tab kuch kahan bhi na gaya * mauke toh kai milee, fasleon ne dur kar diya, ishare toh bahut mile, iraadon ne dhokha de diya * khamoshi bhi aksar bayan haal e dil kiya karti hai unsey kya umeed kartey ho jo na dil aur na uska haal jaantey hain...