kuch jhuki si palkein,Deewana bana gayin.. na chahte huye bhi apna bana gayin... Kuch nahi keh ke bhi .. Baut kuch keh gayi.... In palkon ki bhasha samajhna kyun hai itna mushkil Koi yeh kaise bataye Kya yeh hai mumkin.....
Posts
Showing posts from 2012
Khusiyon ki bagiya may tum saath na chale, na chale hi sahi. Chalte ho kyun akele Saath humara hi sahi.. Na chahein tumhey yeh humey manzur nahi, na dekhein tumhey yeh bhi kubul nahi.. Koi rishta na bane bahle hi sahi.. Dard ka rishta jo baney kya woh bhi nahi??? Aitraaz kyun hai tumhey kissi bhi rishtey se? Kya koi dard saath le kar ho chal rahe.. Dost samjh kar hi baat lo kya yeh bhi nahi??? na chahkar humey chaho yeh gawara nahi.. Chup-2 kar humey Dekein yeh sahi bhi nahi na chahtey huy humey chahna yeh bhi manzur nahi
ek chehre ne meri taraf nazar utha kar dekha, aakhon may sharat ka ehsas jhalak rahah tha chehra bhi suraj ki kirano sa chamk raha tha lekin yeh kya uske haathon may tha ek sahara jo usse meri aur le aa raha tha.. Poochne par pata chala . yeh koi aur nahi meri apni trasveer hai jo kuch dhundhari yaadon se bahar aa rahi thi aur kuch keh rahi thi.. apne dayre se nikal kar jo main poocha kya hota hai yeh ehsaas toh labon par aa gayi dil ki baat kuch pal saath tumhara mil jo jata toh yeh safar humara bhi haseen ho jata