Posts

Showing posts from September, 2007
Khulti zulfein jo chehre par giri mausam may shayari ghul gayi nazar uthakar jo tumne dekha Hawa ki rukh badal gayi

VOICE OF India..ke set par

Image
Shaan ke saat VOI ke set par...Shaan se humn emaze kiye... "Aankhei nKhuli Ho ya ho bandh..deedar Shaan k hota hai"

Kuch Mitha Ho Jaaye.....

Image
Kitna Khatey Hian mere dost...aur main sirf dekhti rehti honn..hastey huye ;-)

Apni toh pathshalla-Reunion day pics.

Image

Me At work..

Image

Astro gang.sum funny moments

Image
Image
Laughter is the best medicine..so kep laughing... A SMILE takes you MILES ahead in people's heart..so keep Smiling!!!! and keep wining hearts...
kuch kehkar musukara dena .. tumhari nayi ada toh nahi.. jaanti hoon barso pehle yeh aada humari huya karti thi... labon par baat aatey -2 rukh jaaya karte hai, yeh ada tumhari pehley toh na thi.. aksar har baat ko mazak may udha dena hoti thi yeh tumhari ada.. aaj sochkar kuch kehna tumhari ada ban gayi... Aksar labon ko shabdo ka saath na milna zuban par shabdo ka aate -2 rukna yeh ada badli toh na thi.. aaj bhi yaad hai..woh shaam jab tum kuch kehna chahtey the .. par woh baat zuban par aakar bhi ruk gayi
kuch jhuki si palkein, Deewana bana gayin.. Kuch nahi keh ke bhi .. Baut kuch keh gayi.... Aur mujhey apna bana gayin... In palkon ki bhasha samajhna kyun hai itna mushkil Koi yeh humey bataye Kya yeh kabhi hai mumkin.....
Aaine ke saamne jab hi dekha hai khud ko aksar kuch aur dekha hai maine chahty huye bhi na dekh sakey jo chahta tha dikhana aaina saacchai ki chaddar odhe aksar shaam aaya karti thi gumnami ke darr se hi shayad aaine may chup jaya karti thi ussi khi khoj le jaati mujhey aaine ki ore.. shayad ab ki baar dikhaye de mujhey woh chehra jiska intezaar may kar rahi thi jiska chehra dekhna chahti thi yeh aakhein Chaha kai baar ki aaine ke 100 tukde kar ke dekhun kya koi chehra dekhaiye deta bhi hai par yeh toh bhool gayi ki aaine ke chahey kitne tude kar lein .. dikhaye toh ek may aur 100 may hum hi denge akele , tanha na jaane kiski tasveer ki khoj main...........
thode se theraw ke baad kuch baatein kehni hai tumse jo kab se apne seene may daba ke rahkin hain maine nahi jaanti ki kaise karun suru par na karu yeh bhi nahi manzur kyunki phir kabhi aisa halat na ho ki hum saath rehkar bhi juda hon Bus itna sa hi kwaab hai ki humey mile humari thodi si zameen thoda sa aasman na ho koi ranjeeshon ki deewar jahan dekhein bus mile jeevanmay sirf pyaar hi pyaar
tujhey bina dekhe tujhey bina jaane kaise main yeh jaan paati ki kaun hai woh jo aksar meri galiyon may aaya karta hai Mudh kar ek baar dekha toh hota hum tumhare intezaar may hi khade the na jaane tum ne kya socha aur bus chal diye ..bus chal diye Hum iss aas may ki tum kuch kehte aur tum ki hum kuch kehte.. iss kashmakash may na tum kuch keh paaye aur na hum bus chal diye..chal diye Anjane safar ek jaane ka saath de hi deta tumhey apne honey ka ehsaas na kuch kahan, na kuch sunna bus chal diye bus chal diye.. Thodhi hi duri par khadhi thi woh jo zindagi ki ladayi may aksar deti tumhara saath lekin bina kuch dekhe bina kuch mehsoos kiye bus chal diye bus chal diye Uss ek nigah ke liye aaj bhi tarasti hain aakhey-2 par malum hai ki nahi samjhengi tumhari aakhein... par yahi sochkar ki kabhi toh samjhogey.. hum chal diye bus chal diye...
Image
Saare surin ka hai yehi milan geeton se mehka hai Kailash Parbat ka aangan coz we were there n we always rock..
yahan na jaane kitne ajeeb rishtein hain Kuch kabhi miltein hain kuch kabhi na milkar bhi jud jaatein hain humari zindagi se kuch palon ka saath kabhi ban jaata hai zindagi bhar ka Aur kabhi zindagi bhar ka saath lagta hai pal do pal ka hanstey huye beet jaaye yeh zindagi chahtein hain sabhi lekin Is zindagi ka jua khelna nahi chahta hai koi zindagi jiyo toh aise jiyo mano kal ho na ho aur agar aisa hi ho toh kyun na khul ke jiyo