yahan na jaane kitne ajeeb rishtein hain
Kuch kabhi miltein hain kuch kabhi na milkar bhi
jud jaatein hain humari zindagi se

kuch palon ka saath kabhi ban jaata hai zindagi bhar ka
Aur kabhi zindagi bhar ka saath lagta hai pal do pal ka

hanstey huye beet jaaye yeh zindagi
chahtein hain sabhi lekin
Is zindagi ka jua khelna nahi chahta hai koi

zindagi jiyo toh aise jiyo
mano kal ho na ho
aur agar aisa hi ho
toh kyun na khul ke jiyo

Comments

Popular posts from this blog