Posts

Showing posts from August, 2007
Image
Jaadu Jaadu.. Aaj Anteena se Signal ka ho raha milan (try to understand the antenna on my head) jaaduuuuuuuuu Aliens from the world of natakbaaz....
Image
There's sumthing Fishy around me....
Image
Arey Raju beta tumhare daant toh motiyon jaise chamak rahey hain.. Kyun na ho masterji main har rozz daan manjan jo istemal karta hoon..dekh nahi rahe pic may..?
Image
Mujhey pata hai yeh glass may rakhi drink kisne finish ki........ think think..who looks more tipsy ee
Image
No one besides me love the camera..its only ME...
Image
tring tring whos that? its me who me cant talk..!!! ok then lemme click ur pic.. chalo sab line may baith jaao n give ur best show off shot
Image
Subah savere.... suraj bole.. main aaya hoon chidiya bole.. hum bhi aaye suraj bola tum kya laaye.. chidiya boli chi chi laaye chidiya ne poocha suraj tum kya laaye suraj bola naya din naya savera....
Image
shaam ka sunhera sama hai ..suraj dhalne ko betab hai..milna hai chandi se aaj..kya pata yeh mumkin ho na ho....
Kuch Aahtein Kuch Baatein Keh detin hain haal e dil na shabdo ki ho zarurat band hooth kar letein hain sab kubul Chuppi tanhayeyon mein aksar,kuch baat kiya kartein hain jo dooriyan akeli raaton, mein bayan kar detin hain unki baateon may yeh aksar bayaan hota hai Akele taa umra beet jaayegi , In tanhaiyon ko aapki , yaad bahut aayegi Khamoshi ko gar tum samajh jaate kya hota hai tanhaiye ka gum jaan jaate na phir kehte kabhi kissi se.. ki tanhayee ke aashiyan mein tum kaise jiya kartey ho??? (u are allowed to comment n suggest changes)
1)daaman may yeh jo daag lage hain .. kya yeh wahi hain jinhe tum aksar humse chupaatey rahe doston se kya chupaoge dost hote hi hain daag chipane ke liye 2)masum chehra mast nigahein dil na le le yeh adayein mar jaayenge yeh soch kar ki kab hogi hum par meharbaan yeh nigahein... 3)izhar e dil kar diya toh hotha.. hamari betabi ko samjha tho hotha nasamajh toh na the hum jo samjh na saken nazaron se hi ishira kar diya hota 4)nazarein jo jhuki toh hum samjhey ikraare E mohbaat kiya unhone na samjh sake yeh Mohabat na thi yeh tha unka istakbal humey.. 5)Durian hi sahi mohabat key liye unhey na samjh aaya fasleon se kabhi mohabat mara karti hai??? 6)haathon may tha jaam bhara chalakney ko tyaar hosh jaise hi unhone gawaye paas hi the thaamne ko hum tyaar 7)apne aas paas ki khusboo se laga/ pairon ki aahat se humey yeh laga ki woh aa gayin hain na samajh paaye ki yeh khushboo unki nahi unki arthi ke phoolon se aa rahi hai (pls suggesnt a suitable line here !!!)) 8)hawa mein is khusboo se l...
ek chehre ne meri taraf nazar utha kar dekha, aakhon may sharat ka ehsas jhalak rahah tha chehra bhi suraj ki kirano sa chamak raha tha lekin yeh kya uske haathon may tha ek sahara jo usse meri aur le aa raha tha.. Poochne par pata chala . yeh koi aur nahi meri apni parchayi hai jo kuch dhundhari yaadon se bahar nikal kar kuch aayi hai.. apne dayre se nikal kar jo main poocha kya hota hai yeh ehsaas toh labon par aa gayi uske dil ki baat kuch pal ruk kar keh hi diya kuch pal saath tumhara mil jo jata toh yeh safar humara bhi haseen ho jata yeh sunn meri aakhon may nami thi na chahte huyi bhi shabdoki kami thi yeh kaun hai jiski kami mehsus ho rahi thi… socha bahut aur phir kaha… yeh koi aur nahi apne aap ki hi khoj thi.. jo na jaane kabse ho rahithi.. ashaon ki udhan liye zindagi may pehchan key liye.. mann uddh rahah tha uss anjaane ke liye.. jo hokar bhi na tha humare paas kabhi.. yeh hi toh hai Mann..
kal shaam ko chau raahe par mil gayi jo zindagi.. pooch baithi ki kisske liye jee rahey ho naa jaane kyun yeh keh gaye yeh bhi koi jeena hai jahan sirf kwahishon ka aasma ho aur tadap ki ho zameen.. sun yeh zindagi keh uthi aye mere dost yehi toh hai zindagi
tanhaiyon ke kohre may chehra jo nazar aata hai shayad yeh wahi hai jo kabhi sapno may aaya karta hai.... Kuch waqt thehar hi jaata yeh lamha, na jaane kisne iss kohre ko hawa dedi... Kuch palon ka intezar ab ban gaya saalon ka na jaane phir kab ho dedar is chehre ka.. mayusi ke is aalam may thoda sa haslon yarron na jaane phir kab ho aisa aalam jahan ek tarf tum aur ek taraf hum hon...
zindagi may aksar yeh halat huya kartein hain , kabhi hum aapko , kabhi aap hum ko anjaan se lagne lagtein hain.. kabhi duri kabhi fasle aise lagne lagtein hain maano zindagi ka safar akele nibhane nikle hain.. kuch raasteon par humey laga yun maano aapka saath mil gaya hai.. aur kuch pal may laga shayad yeh bhram tha jo toot gaya hai... akele the safar may humsafar ka intezaar hai. safar yeh tanhaiyee ka hoga pura humey yeh aitebaar hai...
Jab bhi tumhe dekha, chaha tumse kehna naa jaane kaun sa lamha aate aate tham gaya.. chaha tumhey thamun apni baahon may Naa jaane kaun sa darr jaate jaatey tham gaya.. Kaun si hai baat tum may jo sirf yehi kehti hai humey naa jaane jaan -e -jaana woh labz labon par aatey -2 tham gaya.. bahut socha aur sochtey-2 yeh keh hi gaye.. aksar hota hai meri zindgi may mohabbat ka zikra magar naam aapka lete lete tham gaya...
kuch lamhe intezar ke yun hi beet jayenge.. dastak di hai darwaze par ..kya aap yun hi mil jaayenge.. nazar lagaye baithein hain ,betab aapki ek jhalak ke liye.. kya yun hi dastak ko humari nazar kar jaayenge... zindagi bhar ka saath na sahi kuch pal hi mil jaayengey.. in tarsati nighahon ko kcuh sukun dila jaayenge.. Kehti hai har dil ki dhadkan zara sun jaayeye.. aatey aatey labo par yeh baat..sunke hi chale jaayeye..

experience at the VOI shoot

being on a shoot wathing things live may sound too excitign for some ppl bt if u have been ther and doen that kinds..well it sstill the same ;-).. me and my gang was at teh amul VOI sets few days back ...(epi is already telecast)..it was an amazing exp watching ppl singing live and with full energy.. To add icing on teh cake was the guest..Anil Kapoor and Akshaye khanna..Though Akshay was a bit laid back bt Anil Kapoor made up for th same.. All in all a gr8 exp..

Meeting with A R Rehman

Image
WOW wat an experience meeting /seeing AR Rehman ..hard to put in words ..bt still managed to get a glimpse of this amazing talented music composer at infinity mall on 10th aug 07... Pic may dhoondho toh jaane???????? Bhali bhali si ek surat..jo chippy huyi hai...