ek chehre ne meri taraf nazar utha kar dekha,
aakhon may sharat ka ehsas jhalak rahah tha
chehra bhi suraj ki kirano sa chamak raha tha
lekin yeh kya uske haathon may tha ek sahara
jo usse meri aur le aa raha tha..

Poochne par pata chala .
yeh koi aur nahi meri apni parchayi hai
jo kuch dhundhari yaadon se bahar nikal kar
kuch aayi hai..

apne dayre se nikal kar jo main poocha
kya hota hai yeh ehsaas
toh labon par aa gayi uske dil ki baat
kuch pal ruk kar keh hi diya
kuch pal saath tumhara mil jo jata
toh yeh safar humara bhi haseen ho jata

yeh sunn meri aakhon may nami thi
na chahte huyi bhi shabdoki kami thi
yeh kaun hai jiski kami mehsus ho rahi thi…
socha bahut aur phir kaha…
yeh koi aur nahi apne aap ki hi khoj thi..
jo na jaane kabse ho rahithi..

ashaon ki udhan liye zindagi may pehchan key liye..
mann uddh rahah tha uss anjaane ke liye..
jo hokar bhi na tha humare paas kabhi..
yeh hi toh hai Mann..

Comments

Popular posts from this blog