zindagi may aksar yeh halat huya kartein hain ,
kabhi hum aapko , kabhi aap hum ko anjaan se lagne lagtein hain..

kabhi duri kabhi fasle aise lagne lagtein hain
maano zindagi ka safar akele nibhane nikle hain..

kuch raasteon par humey laga yun
maano aapka saath mil gaya hai..
aur kuch pal may laga shayad yeh bhram tha jo toot gaya hai...

akele the safar may humsafar ka intezaar hai.
safar yeh tanhaiyee ka hoga pura humey yeh aitebaar hai...

Comments

Mandar Kulkarni said…
"safar yeh tanhaiyee ka hoga pura humey yeh vishwas hai..."

..humey yeh aitbaar hai jyaada rhyme nahi karta?:P...he he good stuff...
Rizoota said…
thanks ya so much

Popular posts from this blog