Kyun har baar tumhey dekhkar yeh ehsaas huya karta hai un palon ko yaad karte karte har lamha tum sa lagta hai Par jab bhi chehra tumhara saamney aaya harr baaar yehi hai paya ki tumney kabhi nahi chaha kissi aur ko chaha hai toh sirf apne aap ko
Posts
Showing posts from 2008
guzara lamha tham gaya hota, waqt ke rehte jo chaha mil gaya hota na sochtey zindagi bharr hum ab saath unka garr mil gaya hota zindagi ka har lamha jee liya hota aaj bhi jab shakon se paton ko girtey dekhtein hain yehi mehsus kiya kartein hain woh lamhey bhi kya lamhey the jinko hum saath saath bita diya kartey the aaj bhi jab yaad aatey hain wooh pal toh aankhon may halki si muskurat ghir aati hai loog kehtein hain yeh muskurahat nahi kyunki aakhein zindagi ki nami bayan kar jaati hai kabhi janane nahi diya unko haal e dil apna aksar ek kone may dekha kiya kartey the aaj bhi hum dekhtein hain unko par dekhney ka andaz badal liya hai humney masumiyat ke wooh nishan ap chehre par tumhare dikhtein nahi kya itne saalon main kabhi tum un lamho ko yaad karke hansey nahi hansi jaise kahin dab gayi hai lekin lakeeron ne saath abhi chhoda nahi hai kabhi un lamho ko yaad kar lena jo aksar hum saath bitaya kartey the shayad un yaadon se daman tuhara phir bharr jaaye aur inhi yaadon se tum baha...
kai dino se dekha nahi aasma ko muskurate kai dino se dekha nahi ussey aakhon se paani barsaatey.. kai dino se mehsus nahi kiya tumhare narm bahon ka ghera kai dino se fela nahi tumhari chahton ka mela kai dino se huya nahi mera tumhara aamna saama kai dino se badha bhi toh nahi humari baaton ka silsila kyun kuch dino ka fasla ban gaya kai dino ka har pal tab lagta tha barso bhar ab har baras lagta hai pal bhar kuch oth humey chahton ne mara kuch baaton ne aur jo hum bachey the unhey tumhari judai ne mara..
ek ehsaas
halki si tumhari hasi jaado kuch aisa karti hai na jaane kitni anchahi anjaani baatein keh deti hai.. Kyun hota hai aisa aksar yeh mere saath hi dhadkane tham jaati hai humari tumhare atey hi... kehna chaho jab bhi apna haal e dil humse, bus muskurakar thaam lena humara haath yeh... aur jo kabhi keh na paao humse haal e dil apna.. bus aankhein apni bandh kar lena paaogey paas apne
baarish ki boondein cham se jo padhi zameen par, jeevan naya mil gaya ho jaise kisiko.. tapti zameen ek tak aakhein beechaye baithi , aasma ki ore dekhne lagi thi, chah rahi thi kuch boonde gire uspar, ho jaaye phir se meharbaan koi uss par... Thandi hawa ka jhonka le hi aaya paigam baarish ka, aur kuch hi palon may boondon ne bana diya sama khushi ka, aahista-2 padthi huyi baarish ki yeh boondein, kuch kehna toh chahtin hongi, par kya kabhi inki aawaz kisi ne sunni bhi hogi??? khidkiyon ka woh baar baar khulna, baar baar bandh hona..chidhiyon ka woh chechana, bheeg kar thodha sa seham jana.. miti ki khusbhoo se poora mausam badal jana, mann chahey thodhi si chai aur kuch garma garam pakodo ka kitchen se aana.. par haay yeh baarish.... mauka toh de bahar jaane ka , kuch saaman laane ka, tabhi toh maja aayega khidki ke paas baith, inn baarish ki boondon, hawa ke jhokon aur pakodon ka maja uthana..
Peechey se aawaz jo aayi,mudhkar dekha, dikhayi di parchayi, Socha thodhi dur chaltey-2, kya humse alag hai humari parchayi??, agar dono nahi hain alag, toh yeh aawaz kisne hai lagai?, garr hoti humse alag toh zindagi ke safar may har din rooti parchahyi, hastein huye saare ghum, pareshaniyan jaane detey uske saath, befikar hotey hum aur marti har din parchayi
har baat se ek baat banegi, har bat se ek baat chalegi, baaton baton may zindagi ke raftar banegi kuch masley suljheinge,kuch masley banengey, baaton baaton may mohabat ghategi, chalo inn baaton ko yahin khatam karen, milkar inn baaton ki uljhan ko dur karein, muskura do tum thodha, musukar dein hum thoda, issi muskurahat se zindagi ki har raat kategi...
Shaam ka Suraj Dhal jaayega, KAl ek naya savera laayega, Aasha ki kiran se chamkega aasma, hogi apni thodi si zami thoda sa aasma Kuch nayi khushiyan hongi, kuch naye waade honge, Kuch naye hoslein honge, kuch nayeirade honge, har ek lamhe may hoga ek naya savera, jo phir hoga kal humara jab, Shaam ka suraj dhal jayega Kal ek naya savera layega
khushbuon ka daman, khushiyan batorney laga tha kuch ehsaas in dayron may aakar rukh gaye, kuch faslein taye kar ke nikal gaye kya kehtein un lamhon se jo inhey apney daman may samety huye tha ghabra kar rukh gaye , kahin daman bikhar na jaey aur khushiyon ka woh savera haathon se na nikal jaaye ghabrahat may yeh na jaan paye ki humara toh sirf khusbho se nata tha na khushiyon ka saath mila na kabhi kissi ka daman mila (words are scattered pls help them bind)
bandh mutthi may jee letein hai zindagi ki saari khushiyan kuch loog nahi jaan patey ki khula aasma kya hai mil bhi jaata khula aasma, toh kya wakai may zindagi ko naya roop de paatey woh loog... woh phir bhi yahi maantey ki saari duniya ka basera hai yahan .. bus yahi hai aashiyana mera aur khush ho lete....
shayari
Nigahein aapki pehchan hain humari, muskurahat aapki shaani hai humari, rakh karo apna khayal kyunki saansein aapki jaan hai humari Hawa kuch kehte hue mujhse yun takrayi , mano bechada hua pyar kahin mil gaya ho raat ki chandni kehti hai mujhe unka pata toh batati ja, kisse punchun rehtein hai kahan itna karam toh karti ja rangon may yun ghul gaya sama chahton ke mausam may is kadar mil gaya sansar dil ki dhadkan keh hiuthi kaun kar gaya is mahol ko rangeen tamanao ke aangan may umeed ki ho kiran aur chalta rahe ashaon ka safar/karwan kb na pal ye thame jo de gaya hume dosti ka yeh pal chup reh kar bhi bahut kuch keh deti hai aankhen kambhakt kya karun reh reh kar bayan har jazbat kar deti hai yeh aakhein aasan gar jo hota kb dil may jagah banai hi na hoti ek baar nafart se dekh hi liya hota pyar ka ehsaas jaga na hua hota Mausiki ka khumar mujh par kuch aisa chadha na pata kab subah se shaam ho gayi Bhul jaon tumhe yeh mumkin nahi yaad rakhun tumhe yeh aasan nahi karun kya e dil bata...