Posts

Showing posts from 2010
Image

MARRIED TO AMERICA -JABALPUR schd-1

Image

Chalo Lau Jalayein

ankhon ko band kar lena aur yeh sochna ki aas paas sab thik hai yeh shayad galat fehmi hi nahi dilon ki badhti lakeer hai, yeh sochna ki koi aur toh sambhal hi lega, yehi sochkar dilon ki lakeerein zameen par aa gayi hain, sochkar bhi hota kya hai, aisa sochkar kab tak chup rahengey hum aisi soch par lagana hoga ab poorn viram agar na laga sakey viram iss par toh dur nahi woh din jab humara padosi hoga kisi aur mulak ka aur hum kisi aur ke.. Uss aankh ka kya fayada jo, jab ji chahye bandh ho jaati hain aur zarurat padhne par " main andha hoon' keh kar phir so jaati hain.. Kabhi toh kholein inn bandh aankhon ko sirf yeh dekhne ke liye nahi ki kab zarurat ho desh ko iss ki kyun na kholey issey hamesha toh kabhi zarurat hi na padhey desh ko isski.. har waqt dhyan rakhey ki kuch bura na hoo, aaj humare ghar may huya to jo sahi par kal tumhare ghar mein na ho... chalo milkar ek lauh jalaye roshni har taraf ho, koi ghar andhkar may dhooba na ho, haath pakad le usska jo andhera phela...

Bandishein

Zanjeero may jakad kar zindagi yun royi, maano samandar ne aaj pehli baar aasun lootaye hoo... seemat kar jazbaton ko apne aap main yun baandha, maano zindagi may khwahison ki kami si ho... aman aur chain ki baaton ne iss tarah bandha sama, maano yeh baat pehli baar saamney aayi ho... Lakhon baatein, hazaron tamanaye saamne aa gayi thi, mano pehli baar kisi ne dosti ka haath badhaya hooo.. baatein toh sabhi kiya karrtey hain aman aur shaanti ki.. kabhi kisine pehla kadam uthaaya toh ho... Bandishon may guzar gayi hai zindagi apni, kabhi humney inn zanjeeron ko thodhne ki koshish toh ki ho...

Keh Bhi Do

Shabdo ko baandh liya tha maine , kabhi apni tanhaiyi ko chupane ke liye, bedard tanhai bhi ab kehne lagi, keh bhi do apni jubaan se haal e dil apna kabhi... muskurahat bhi ab chubhne lagi hai, aankhon ke isshare abhi dhoondhle padhne lagey hain, ab toh dil bhi kehen laga hai, keh bhi do apni jubaan se haal e dil apna kabhi... Hawa ka jhoka ab paraya sa lagne laga hai, aandhiyon ka kya kehna, halki si hawa ab dard ka ehsaas karane lagi hai aur kehne lagi hai.. keh bhi do apni jubaan se haal e dil apna kabhi...

mere papa 2

Mere papa (MY WAY TO EXPRESS THINGS..STILL LEARNING SUGGESSTIONS/CORRECTION WELCOME..PLS GUIDE) jab se huya janam mera .. paaya aapko aas paas humesha.. shabdo ka kabhi sahara na liya maine .. jo chaha tha bus aapne diya wahi mujhey woh pehla shabd sunna jab PAPA aapne aankhon may nami toh aayi hogi, chupakar rakha tha usey hamesha .. jab kabhi mummmy ne poocha toh keh diya hoga... kuch nahi shayad koi tinka aankh may gaya hoga apni nanhi si kali ko har kadam par sambhala aapne, har kadam par seekh bhi di thi mujhey naa jaaney iss pyaar may kaise waqt guzar gaya aur iss waqt ka pata hi na chala... aaj jab bhi un tasveeron ko album se nikal kar dekti hoon har lamha phir rangeen ho jata hai maano yeh aaj ka nahi humara kai janamo ka nata hai yaad nahi aata mujhko aapko kabhi gussa aaya hoga meri harr baat ko aapne apne seene se hi lagaya hoga, meri har haar ko apni hansi se jeet may badal diya hai, aaj bhi mudhkar dekun jab PAPA, wahi musurata chehra dikhta hai Un lamho ko mehsoos kartey...

mere papa

kuch hansi kuch muskurai... dekho mere ghar aayi yaarn ek nanhi pari, aisa hi kuch kaha hoga papa aapne jab liya hoga mujhey apni bahin may woh pal woh pyaar aaj bhi jhalakta hai har shabd may har pal may woh papa ka hi pyaar hai jo aaj tak mujhey apni ore khinchta hai.. dhul miti may lipta huya dekhkar woh gusse se dekhna aur phir pal may mujhey apni goud may uthakar mere maathey ko chum lena aur kehna "beta jao aur khelo"par apna dhyaan rakhna kahin gir naa jana... aaj bhi jab kabhi kadam ladkhada jaatey hain.. papa ke yehi shabd yaad aatey hain.. aur jab main peechey mudhakar dekti hoon toh papa ko hamesh apne peechey mera sahara banna dekhti hoon.. LOVE U PAPA FOR ALWAYS BEING THERE FOR ME...

yeh kab shuru huya?..poem -3..

Cheekhon,aawazon ka yeh daur jo shuru huya, na jaane kabh thamega yeh jo shor shuru huya, rotey, bilaktein hai hum sab magar, darr ka yeh daur kab shuru huya, aahat se pehchantein hain apno ka aana, aatankiyon ka apno sa aana shuru kab huya? harr mazhab ko apna kehna seekha shuru se humne, achanak se aatank ka yeh naya mazhab shuru kab huya? pyaar ka paigam lekar humesha se hum ghumey, par yeh dushmani ka aalam shuru kab huya? chhaya tha jahan aman ka aalam waha darindagi ka khel shuru kab huya? chahtey toh sab hain shaanti ka paigaam dena, par matbhedo ka yeh silsila khatam hi kab huya???... yakeen... humney aksar yakeen un par kiya, jinhoney apne hona ka ehsaas diya, dhokha bhi unhi se khaya, jinhoney apna kar chhod diya, kcuh chehron par aksar masumiyat ka naqab hota hai, hota hai tabhi dhokha jab unka parda faash hota hai, jhooth keh bhi do toh yeh toh malum hai ki, apno ne hi kaha hai, dost bankar maar dalo toh, yeh keh bhi na sakengey ki, apno ne hi marr dala hai

JAAGO INDIA JAAGO...........2

phir wahi shaam hogi, phir wahi subah hogi, naa hongey woh purane chehre, jinko hamesha hum apni aankhon ke saamney dekha kartein the, phir wahi loog hongey, phir wahi siyasat hogi, par iss baar kuch naye chehre phir kuch naye haadse, aur unka sirf itna keh dena "hum sab aapke saath hain" rukh phir kisi dusri taraf karna , naye muddo par behas karna, aur agar nayi musibat aaye toh bus itna kehna " saara desh aapke saath hai" par kya koi iss sawal ka jawab dega..??????????????????? kitni din aap humare saath hai? kya aap honge humare saath , jab bache bhookh se raston par beelakh rahein honge? kya unhey roti aap denge? jab unka haath koi nahi thamega tab kya aap honge? kya aap unhey naukri denge? jab baarish may ghar ki chhat tapkegi ya utsavo par ghar may andhera hoga? toh kya aap honge wahan humari zindagi ko ek nayi roshni dene ke liye? haan ....... jawab tab aayega jab hoga.... CHUNAV ka din.. wooh saare loog jinko humney 5-10 saalon may shayad kb dekha hoga sirf...

JAAGO INDIA JAAGO...........

naa jane kiss aandhi ne apna rukh iss ore kiya, na jaane kitne mare aur kitno ne apni jaan gawayi, kya farak padha un siyasat ke mahir sartajo par, jo aksar apni kursiyon ko inn halaton se garam kiya kartein hain, aaram ki zindagi jiya karetin hain, Yeh jaantein hain ki inn jawano ki wajah se hum sootey hain aram ki neend, par kya farak padhta hai inn desh ke netaon ko... subah bus itna keh dena" humey khaid hain unke jaane ka" aur shaam hote hi jaam takratein hain. hastein huye yeh khed jatatein hain... aur hum kuch kahein to kehtein hain " bhawnao ko samjho shabdo main kya rakha hai"