JAAGO INDIA JAAGO...........

naa jane kiss aandhi ne apna rukh iss ore kiya,

na jaane kitne mare aur kitno ne apni jaan gawayi,

kya farak padha un siyasat ke mahir sartajo par,

jo aksar apni kursiyon ko inn halaton se garam kiya kartein hain,

aaram ki zindagi jiya karetin hain,

Yeh jaantein hain ki inn jawano ki wajah se hum sootey hain aram ki neend,

par kya farak padhta hai inn desh ke netaon ko...

subah bus itna keh dena" humey khaid hain unke jaane ka"

aur shaam hote hi jaam takratein hain.

hastein huye yeh khed jatatein hain...

aur hum kuch kahein to kehtein hain " bhawnao ko samjho shabdo main kya rakha hai"

Comments

Popular posts from this blog