mere papa 2

Mere papa
(MY WAY TO EXPRESS THINGS..STILL LEARNING SUGGESSTIONS/CORRECTION WELCOME..PLS GUIDE)

jab se huya janam mera ..
paaya aapko aas paas humesha..
shabdo ka kabhi sahara na liya maine ..
jo chaha tha bus aapne diya wahi mujhey

woh pehla shabd sunna jab PAPA aapne
aankhon may nami toh aayi hogi,
chupakar rakha tha usey hamesha ..
jab kabhi mummmy ne poocha toh keh diya hoga...
kuch nahi shayad koi tinka aankh may gaya hoga

apni nanhi si kali ko har kadam par sambhala aapne,
har kadam par seekh bhi di thi mujhey
naa jaaney iss pyaar may kaise waqt guzar gaya
aur iss waqt ka pata hi na chala...

aaj jab bhi un tasveeron ko album se nikal kar dekti hoon
har lamha phir rangeen ho jata hai
maano yeh aaj ka nahi humara kai janamo ka nata hai


yaad nahi aata mujhko aapko kabhi gussa aaya hoga
meri harr baat ko aapne apne seene se hi lagaya hoga,
meri har haar ko apni hansi se jeet may badal diya hai,
aaj bhi mudhkar dekun jab PAPA,
wahi musurata chehra dikhta hai

Un lamho ko mehsoos kartey hain hum sabhi
par kehna kyun mushkil ho jata hai,
kyun ek hi din Father's day manatey hai
Pita ka toh harr din hota hai,

kehna hota kitna aasan agar har lamha har shabd ko baandh deti may
bus kehna hi itna hai
MY DADDY STRONGEST AND HE's THE BEST DAD...
LOVE YOU PAPA

Comments

Popular posts from this blog