Keh Bhi Do
Shabdo ko baandh liya tha maine ,
kabhi apni tanhaiyi ko chupane ke liye,
bedard tanhai bhi ab kehne lagi,
keh bhi do apni jubaan se haal e dil apna kabhi...
muskurahat bhi ab chubhne lagi hai,
aankhon ke isshare abhi dhoondhle padhne lagey hain,
ab toh dil bhi kehen laga hai,

Hawa ka jhoka ab paraya sa lagne laga hai,
aandhiyon ka kya kehna,
halki si hawa ab dard ka ehsaas karane lagi hai
aur kehne lagi hai..

Comments