Chalo Lau Jalayein

ankhon ko band kar lena aur yeh sochna ki aas paas sab thik hai
yeh shayad galat fehmi hi nahi dilon ki badhti lakeer hai,
yeh sochna ki koi aur toh sambhal hi lega,
yehi sochkar dilon ki lakeerein zameen par aa gayi hain,

sochkar bhi hota kya hai, aisa sochkar kab tak chup rahengey hum
aisi soch par lagana hoga ab poorn viram agar na laga sakey viram iss par
toh dur nahi woh din jab humara padosi hoga kisi aur mulak ka aur hum kisi aur ke..

Uss aankh ka kya fayada jo, jab ji chahye bandh ho jaati hain aur zarurat padhne par
" main andha hoon' keh kar phir so jaati hain..
Kabhi toh kholein inn bandh aankhon ko sirf yeh dekhne ke liye nahi ki kab zarurat ho desh ko iss ki
kyun na kholey issey hamesha toh kabhi zarurat hi na padhey desh ko isski..

har waqt dhyan rakhey ki kuch bura na hoo,
aaj humare ghar may huya to jo sahi
par kal tumhare ghar mein na ho...

chalo milkar ek lauh jalaye roshni har taraf ho,
koi ghar andhkar may dhooba na ho,
haath pakad le usska jo andhera phelayega
ussey bhi iss lauh may shayad koi jalayega...

Comments

Popular posts from this blog