yeh kab shuru huya?..poem -3..

Cheekhon,aawazon ka yeh daur jo shuru huya,
na jaane kabh thamega yeh jo shor shuru huya,

rotey, bilaktein hai hum sab magar,
darr ka yeh daur kab shuru huya,

aahat se pehchantein hain apno ka aana,
aatankiyon ka apno sa aana shuru kab huya?

harr mazhab ko apna kehna seekha shuru se humne,
achanak se aatank ka yeh naya mazhab shuru kab huya?

pyaar ka paigam lekar humesha se hum ghumey,
par yeh dushmani ka aalam shuru kab huya?

chhaya tha jahan aman ka aalam
waha darindagi ka khel shuru kab huya?

chahtey toh sab hain shaanti ka paigaam dena,
par matbhedo ka yeh silsila khatam hi kab huya???...
yakeen...
humney aksar yakeen un par kiya,
jinhoney apne hona ka ehsaas diya,

dhokha bhi unhi se khaya,
jinhoney apna kar chhod diya,

kcuh chehron par aksar masumiyat ka naqab hota hai,
hota hai tabhi dhokha jab unka parda faash hota hai,

jhooth keh bhi do toh yeh toh malum hai ki,
apno ne hi kaha hai,
dost bankar maar dalo toh,
yeh keh bhi na sakengey ki,
apno ne hi marr dala hai

Comments

Popular posts from this blog